Jaavedaan Hai Lyrics by Kay Kay from bollywood movie 1920 – Evil Returns (2012) Romantic hindi song. jaavedaan hai ishq tujhse Lyrics is penned by Shakeel Azmi, it’s composed by Chirantan Bhatt.
Jaavedaan Hai Song Detail
Song : Jaavedaan Hai
Album : 1920 – Evil Returns (2012)
Singer : Kay Kay
Music : Chirantan Bhatt
Lyrics : Shakeel Azmi
Music Label: T-Series
Jaavedaan Hai Lyrics
Karta hu tujh mein din guzar main
Karta hu tujh mein shab basar
Karta hu tujh mein hi sehar main
Jeeta hu tujhko dekhkar
Dil tere bin thehra sa hai
Tu dhadkanon ka hai safar
Kaaton bhara har raasta
Phoolon ki hai tu rehguzar
Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai jaan-o-dil ke
Darmiyan hai, darmiyan tu haan
Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai tujhmein hi dil
Udd raha hai aasman tu haan
Saath tera jabse hai mujhko mila
Waqt ki shaakho pe har pal khila
Zindagi se ab nahin koyi gila
Jitna hai tu, utna hu main
Na kuch zyaada, na hu kam
Tujhse shuru hota hu main
Hota hu tujhpe hi khatam
Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai jaan-o-dil ke
Darmiyan hai, darmiyan tu haan
Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai tujhmein hi dil
Udd raha hai aasman tu haan
Maine tujhko is tarah se hai jiya
Aandhiyon mein jaise jalta hai dia
Ishq se har faasle ko tai kiya
Jo the judaa humse khafa
Lamhe wo saare kat gaye
Tum mil gaye banke subah
Jo the andhere hat gaye
Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai jaan-o-dil ke
Darmiyan hai, darmiyan tu haan
Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai tujhmein hi dil
Udd raha hai aasman tu haan